top of page
popsharai.jpg
My Shayari: Welcome

MY SHAYARI

Achchayi ko aisa nasha bana do ki burayi ko sharam aa jaye...
Insaniyat ko aisa nasha bana do ki insaan ko sharam aa jaaye...


Na kuch mera hai, na hamne kuch kamaya hai...
Jo Khuda ne chaha, ussi ko hamne paaya hai...


Jis din aap bikne ko taayar ho jaoge kissi ki ek muskurahat ke liye..
Us din saara baazar hoga aapke kadmon mein jhukne ke liye...


Sabon ne milkar mere liye chakravyu rachaya...
Soche thhe Abhimanyu lekin main toh Arjun nikal aaya...


Pata nahi kyun aap mujhe achche lag gaye..
Pata nahi kyun aap mujhe sachche lag gaye...
Agar pata hota toh Khuda ishq banata hi kyun..
Agar pata hota toh dimag, dil se haarta hi kyun...

​

Daksh ne shatranj mein mujhe maat dene ki koshish ki..
Woh jeet ke bhi kaise jeetata, maine kabki baazi chodh di thi....


Agar ishq hai to shaq kaisa..
Agar mohabbat nahi toh haq kaisa...


Aaj dil mein ajab sa sukoon hai...
Sabhi prayason ko chodhne ka junoon hai...


Thoda sa muskura do..
Iss dard ko chupa do..
Jab main aapke saath hu..
Aap kyun itne tanha ho....

​

​

Kisi ko kamzor na samajh, har kuttey ka din aata hai..

Ek ek kadam badhkar, pyada bhi wazeer ban jaata hai...

​

Aap se is qadar mohabbat ho gayi..

Ki dil mein aapko na paane ki hasrat jaag uthi...

​

In bachchon ko hum kya sikhayenge..

Jo inke paas hai, woh hum kabhi nahi paayenge...

Hum dhurt aur akalmand toh ho gaye...

Lekin woh saadgi aur sacchchayi hum kahaan se layenge..

​

Sadiyon se parivaaron ne hai bhoga..

Jahaan Ravan, wahan Vibhishan bhi hoga...

​

My Shayari: About

This website was created in 2020

bottom of page